Black Friday Sale 2024: Complete Guide, Best Deals, Discounts, and Tips!

      • Black Friday Sale Kya Hai?

      • Black Friday Sale Ki Shuruaat Kaha Se Hui?

      • Black Friday Sale Kin Platforms Par Aati Hai?

      • Black Friday Sale Kab Hoti Hai?

      • Black Friday Sale vs Big Billion Days aur Other Sales Comparison.

      • Black Friday Sale Me Kya Discount Milta Hai?.

      • Black Friday Sale Me Global Reach.

      • Conclusion.

    1. Black Friday Sale Kya Hai?

    Black Friday Sale duniya ki sabse badi shopping events me se ek hai. yeh sale har saal thanksgiving (ek American holiday hai jisme log apne liye shukriya ada karte hain.) ke agle din celebrate ki jaati hai, jo november ke last friday ko aata hai. yeh sale officially holiday shopping season ki suruat ka signal deta hai.

    is din ke khas hone ka ek simple reason hai: dicounts aur offers. har retailer, choti se lekar badi brand tak, apne products par aise offers lagata hai jo customers ko kharidne ke liye excite kar de. Electronics se lekar fashion aur home appliances tak, har category me itni heavy discounts milti hai ki log is din ka wait karte hai.

    2. Black Friday Sale Ki Shuruaat Kaha Se Hui?

    iska origin unoted states se hua. 1960 ke aas-pass thanksgiving ke baad ka friday “Black Friday” kahalane laga, aur iska reason tha jyada traffic aur store me bheed. Log thanksgiving ke baad shopping karne nikalte the, aur is din economy me bhut jyada sale hoti thi.

    dheere-dheere, retailers ne is din ka importance samjha or ise ek bade marketing oppprtunity ke roop me use karne lage . Tab se yeh ek tradition ban gaya aur ise usa tak simit na rah kar baki globally follow kiya jane laga.

    3. Black Friday Sale Kin Platforms Par Aati Hai?

    Aaj kal ke era me Black Friday Sale pahale ki tarah sirf offline stores tak limited nahi rahi. Yeh online platforms par equally popular hai. kuch bade platforms jo Black Friday Sale ko use me lete hain:

        • Amazon

        • Walmart

        • Flipkart

        • Myntra

        • Tata Cliq

        • Ajio

        • ShopClues

        • Paytm Mall

        • Snapdeal

        • Reliance Digital

        • Voonik

        • Lenskart

        • Nykaa

        • Shoppers Stop

        • BigBasket

      And many more.

      4. Black Friday Sale kab hoti hai

      yeh sale Thanksgiving ke agle din hoti hai, Jo har saal november ka fourth Friday ko aata hai. iski koi spacific date to nahi kyoki vo har saal change hoti hai hai. par ye fix hai jo ki thanksgiving ke agle din aati hai, Jo har november ke 4th Friday ko start hoti hai.

      India me, kai baar Flipkart aur Amazon is dino ko target karke exclusive deals laate hain, taaki indian buyers ko bhi international trend ka maza mil sake.

      5. Black Friday Sale vs Big Billion Days

      aaiye jaante hai Black Friday Sale or Flipkart ki Big Billion Days aur Amazon ki Great Indian Festival me kitna farak hai, iske liye mene 1comperision chart niche Diya Hai Jisse Aapko Ache Se Samajh me aa jayega-

      Aspect Black Friday Sale Big Billion Days / Great Indian Fest
      Timing November ke end me Year-round (Diwali, Independence Day)
      Discount Range Up to 80-90% Up to 70-80%
      Products Global Brands + Local Mostly Indian-centric Products
      Focus Premium Tech + Fashion Daily Use Products

      Jaisa ki Aap Dekh Sakte Hai Ki Black Friday Sale Ka Main Focu High-end tech or globel Product par jyada Hota hai. product jaise iphone, Macbook, Adidas, ya Dyson ke product chahiye, toh Ye sale aapke liye helpful ho sakti hai.

      6. Black Friday Sale Me Kya Discount Milta Hai?

      Black Friday sale ka main highlight iska discount range hi hai. jo kuch iss tarah se hai.

      -Electronics: Mobile phones, laptops, aur gaming consoles par 50-70% tak off.

      – Fashion: International aur local brands par 60-80% tak off.

      – Home Appliances: Refrigerators, washing machines, aur kitchen items par up to 75% off.

      black friday sale Yahi Tak Simit Nahi Hai, Kabhi Kabhi Small and light sale Bhi Dekhne Ko Mil Sakti Hai, Jisme Bhaut Saari Platform, Limited Time k Liye Flash Sale Bhi Laate Hai joJjyadatar Hum miss hi Karte Hai par unme Saving Bhut Jabardast Hoti Hai.

      7. Black Friday Sale Me Global Reach 

      Pichle kuch saalon me Black Friday Sale sirf America tak simit nahi rahi, Puri Duniya bhar ke buyers isme hissa lete hai. india me bhi is Trend Ko kaafi popular kar diya gaya hai. Kyoki Sabhi ko har chiz Value For Money Hi Chaiye. to agar aap Bhi chahte hai ki aap ko bhi aise hi sales or value for money gadget ke bare me sahi jankari milti rahe to jude rahiye hamare sath, kyoki aane wale smay me aapko har gadget ka review or vo product lene hai ye nahi, iski sahi jaankari hum aapko sabse pahle denge. 

      Mera Name hai Mukesh milte hai agle blog me.